sponsers

Wednesday, July 7, 2010

[Aapali_marathi_kavita] Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,

 



Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,
Aaye jo koi to fir jaye na rabba.
Dene ho gar mujhe baad me aanshu,
To pahle koi hasaye na rabba.
To pahle koi hasaye na rabba.

Jaate-jaate koi meri khusiyon ko le gaya,
Suni-suni akhiyon ko gum koi de gaya.

Aas jo lagayi hai aankh bhar aayi hai,
Itna bhi koi sataye na rabba.

Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,
Aaye jo koi to fir jaye na rabba.

Dil lene wale pe ye jor nahi chalta,
Pyar ka ye sikka kahin aur nahi chalta.

Yaad teri aayi hai tu harjayi hai,
Itna bhi koi tadphaye na rabba.

Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,
Aaye jo koi to fir jaye na rabba.

Ro-roke akhiyon me raat kat jati hai,
Yaad kar-karke teri yaad mit jati hai.

dil jo lagaya hai to chot mene khayi hai,
Itna bhi koi rulaye na rabba.

Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,
Aaye jo koi to fir jaye na rabba.

Rah takte-takte meri jindagi gujar gayi,
Bin tere jese saanse meri ruk gayi.

jindagi bhi apni mene intejar me bitayi hai,
Itna bhi koi intejar karaye na rabba.

Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,
Aaye jo koi to fir jaye na rabba.

Tutte dil ke sahare ab jeeya nahi jata,
Pyar bhi to humse ab kiya nahi jata.

har lamha har pal yaad teri aayi hai,
Itna bhi koi dil dukhaye na rabba.

Jindgi me koi kabhi aaye na rabba,
Aaye jo koi to fir jaye na rabba.

Dene ho gar mujhe baad me aanshu,
To pahle koi hasaye na rabba.
To pahle koi hasaye na rabba.
 

   Krishna
 
     Leave "something" for"someone"
 but
    never leave"someone" for "something"
 bcuz.in life
       "something" will leave you 
 but
       "someone" will always be with you

 

__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

0 comments:

sponsers